aaqibat na-shanas hun aur hun
āqibat nā-shanās huuñ aur huuñ
ġham ye hai be-libās huuñ aur huuñ
tū zamāna-shanās thā aur thā
maiñ mohabbat-shanās huuñ aur huuñ
tū bahut duur thā aur aaj nahīñ
maiñ tire ās-pās huuñ aur huuñ
log māyūs ho ke jā bhī chuke
aur maiñ kab se udaas huuñ aur huuñ
lahar hotā to ban ke miT jaatā
maiñ kināre kī ghaas huuñ aur huuñ
saarā mazmūn kaun paḌhtā hai
maiñ to bas iqtibās huuñ aur huuñ
mere hone kī sūrateñ kyā haiñ
maiñ faqat apnā maas huuñ aur huuñ
bandagī mujh ko raas ho ki na ho
maiñ ḳhudā.ī ko raas huuñ aur huuñ
mujh pe ik bojhā hai doī merī
apne hone kī pyaas huuñ aur huuñ
aaqibat na-shanas hun aur hun
gham ye hai be-libas hun aur hun
tu zamana-shanas tha aur tha
main mohabbat-shanas hun aur hun
tu bahut dur tha aur aaj nahin
main tere aas-pas hun aur hun
log mayus ho ke ja bhi chuke
aur main kab se udas hun aur hun
lahar hota to ban ke miT jata
main kinare ki ghas hun aur hun
sara mazmun kaun paDhta hai
main to bas iqtibas hun aur hun
mere hone ki suraten kya hain
main faqat apna mas hun aur hun
bandagi mujh ko ras ho ki na ho
main KHudai ko ras hun aur hun
mujh pe ek bojha hai doi meri
apne hone ki pyas hun aur hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.