aaraish-e-bahaar ka saman kahan se aae
ārā.ish-e-bahār kā sāmāñ kahāñ se aa.e
yā'nī junūñ meñ roz garebāñ kahāñ se aa.e
insāñ mile to daulat-e-kaunain bhī nisār
lekin savāl ye hai ki insāñ kahāñ se aa.e
josh-e-junūñ ba-ḳhair ab is ġham se chhuT ga.e
dāman kahāñ se aa.e garebāñ kahāñ se aa.e
bach-bach ke laakh bād-e-bahārāñ chale magar
un kī sī vo adā-e-gurezāñ kahāñ se aa.e
itnā bhī koī pūchhne vaalā nahīñ 'ra.īs'
hairāñ kahāñ se aa.e pareshāñ kahāñ se aa.e
aaraish-e-bahaar ka saman kahan se aae
ya'ni junun mein roz gareban kahan se aae
insan mile to daulat-e-kaunain bhi nisar
lekin sawal ye hai ki insan kahan se aae
josh-e-junun ba-KHair ab is gham se chhuT gae
daman kahan se aae gareban kahan se aae
bach-bach ke lakh baad-e-bahaaran chale magar
un ki si wo ada-e-gurezan kahan se aae
itna bhi koi puchhne wala nahin 'rais'
hairan kahan se aae pareshan kahan se aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.