aaraish-e-gesu-e-suKHan karte rahenge
ārā.ish-e-gesū-e-suḳhan karte raheñge
be-ḳhauf-o-ḳhatar ḳhidmat-e-fan karte raheñge
ham taaza rivāyāt-e-kuhan karte raheñge
ābād rah-e-dār-o-rasan karte raheñge
tārīḳh meñ kahlā.eñge ham zulm ke haamī
bardāsht agar ranj-o-mehan karte raheñge
mujh ko hai yaqīñ mere vatan ke ka.ī farhād
teshe se ravāñ gang-o-jaman karte raheñge
muhtāj ḳhabar ke nahīñ raftār-e-sabā se
andāza-e-hālāt-e-chaman karte raheñge
jis se ki badal jaa.e ruḳh-e-gardish-e-daurāñ
koī na koī aisā jatan karte raheñge
saf bāñdheñ raheñ ahl-e-vafā ḳham rahe sar bhī
vo kahte haiñ ham hukm bazan karte raheñge
ho daur-e-ḳhizāñ laakh chaman phir bhī chaman hai
'nazmī' dil-o-jāñ nazr-e-vatan karte raheñge
aaraish-e-gesu-e-suKHan karte rahenge
be-KHauf-o-KHatar KHidmat-e-fan karte rahenge
hum taza riwayat-e-kuhan karte rahenge
aabaad rah-e-dar-o-rasan karte rahenge
tariKH mein kahlaenge hum zulm ke hami
bardasht agar ranj-o-mehan karte rahenge
mujh ko hai yaqin mere watan ke kai farhad
teshe se rawan gang-o-jaman karte rahenge
muhtaj KHabar ke nahin raftar-e-saba se
andaza-e-haalat-e-chaman karte rahenge
jis se ki badal jae ruKH-e-gardish-e-dauran
koi na koi aisa jatan karte rahenge
saf bandhen rahen ahl-e-wafa KHam rahe sar bhi
wo kahte hain hum hukm bazan karte rahenge
ho daur-e-KHizan lakh chaman phir bhi chaman hai
'nazmi' dil-o-jaan nazr-e-watan karte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.