Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaram ke the sathi kya kya jab waqt paDa to koi nahin

Arzoo Lakhnavi

aaram ke the sathi kya kya jab waqt paDa to koi nahin

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    ārām ke the sāthī kyā kyā jab vaqt paḌā to koī nahīñ

    sab dost haiñ apne matlab ke duniyā meñ kisī koī nahīñ

    gul-gasht meñ dāman muñh pe na lo nargis se hayā kyā hai tum ko

    us aañkh se parda karte ho jis aañkh meñ pardā koī nahīñ

    jo baaġh thā kal phūloñ se bharā aTkheliyoñ se chaltī thī sabā

    ab sumbul o gul zikr to kyā ḳhaak uḌtī hai us koī nahīñ

    kal jin ko añdhere se thā hazar rahtā thā charāġhāñ pesh-e-nazar

    ik sham.a jalā de turbat par juz daaġh ab itnā koī nahīñ

    jab band huiiñ āñkheñ to khulā do roz thā saarā jhagḌā

    taḳht us na ab hai taaj us askandar o daarā koī nahīñ

    qattāl-e-jahāñ māshūq jo the suune paḌe haiñ marqad un ke

    marne vaale lākhoñ the rone vaalā koī nahīñ

    ai 'ārzū' ab tak itnā patā chaltā hai tirī barbādī

    jis se na bagūle hoñ paidā is tarah sahrā koī nahīñ

    aaram ke the sathi kya kya jab waqt paDa to koi nahin

    sab dost hain apne matlab ke duniya mein kisi ka koi nahin

    gul-gasht mein daman munh pe na lo nargis se haya kya hai tum ko

    us aankh se parda karte ho jis aankh mein parda koi nahin

    jo bagh tha kal phulon se bhara aTkheliyon se chalti thi saba

    ab sumbul o gul ka zikr to kya KHak uDti hai us ja koi nahin

    kal jin ko andhere se tha hazar rahta tha charaghan pesh-e-nazar

    ek shama jala de turbat par juz dagh ab itna koi nahin

    jab band huin aankhen to khula do roz ka tha sara jhagDa

    taKHt us ka na ab hai taj us ka askandar o dara koi nahin

    qattal-e-jahan mashuq jo the sune paDe hain marqad un ke

    ya marne wale lakhon the ya rone wala koi nahin

    ai 'arzu' ab tak itna pata chalta hai teri barbaadi ka

    jis se na bagule hon paida is tarah ka sahra koi nahin

    Source :
    • Book : Range-e-Gazal (Pg. 430)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now