aarasta bazm-e-aish hui ab rind piyenge khul khul ke
aarasta bazm-e-aish hui ab rind piyenge khul khul ke
Heera Lal Falak Dehlvi
MORE BYHeera Lal Falak Dehlvi
ārāsta bazm-e-aish huī ab riñd piyeñge khul khul ke
jhuktī hai surāhī sāġhar par naġhme haiñ fazā meñ qulqul ke
aa tujh ko banā duuñ rashk-e-chaman mīzān-e-mohabbat meñ tul ke
aariz ko guloñ kī ra.anā.ī bal zulf ko baḳhshūñ sumbul ke
gulshan meñ bahār aa.e ki ḳhizāñ murjhā.e kalī yā phuul khileñ
sayyād tujhe kyā matlab hai tū ashk gine jā bulbul ke
ham ahl-e-chaman kī nazroñ meñ kuchh aur hī ma.anā rakhtā hai
kaliyoñ kā chaTak kar khil jaanā phūloñ kā nikharnā dhul dhul ke
vo chain to shāyad rizvāñ ko jannat meñ kyā miltā hogā
jo mujh ko sukūñ mil jaatā hai saa.e meñ kisī kī kākul ke
ushshāq ke marne jiine ko itnī hī lagāvaT kaafī hai
ik choT sī tirchhī nazroñ ke do chaar jhakole kākul ke
kaun us kī fazāoñ meñ aa kar taḳhrīb ke sho.ale phūñk gayā
āḳhir ye vahī to gulshan hai rahte the jahāñ ham mil-jul ke
is daur ke pāgal insānoñ nafrat kī farāvānī kab tak
gar aaj nahīñ to kal tum ko rahnā hī paḌegā mil-jul ke
gar had se sivā pī loge 'falak' phir hosh kahāñ mai-ḳhāne kā
do-chār hī qatre kaafī haiñ pīchhe na paḌho jām-e-mul ke
aarasta bazm-e-aish hui ab rind piyenge khul khul ke
jhukti hai surahi saghar par naghme hain faza mein qulqul ke
aa tujh ko bana dun rashk-e-chaman mizan-e-mohabbat mein tul ke
aariz ko gulon ki ranai bal zulf ko baKHshun sumbul ke
gulshan mein bahaar aae ki KHizan murjhae kali ya phul khilen
sayyaad tujhe kya matlab hai tu ashk gine ja bulbul ke
hum ahl-e-chaman ki nazron mein kuchh aur hi mana rakhta hai
kaliyon ka chaTak kar khil jaana phulon ka nikharna dhul dhul ke
wo chain to shayad rizwan ko jannat mein kya milta hoga
jo mujh ko sukun mil jata hai sae mein kisi ki kakul ke
ushshaq ke marne jine ko itni hi lagawaT kafi hai
ek choT si tirchhi nazron ke do chaar jhakole kakul ke
kaun us ki fazaon mein aa kar taKHrib ke shoale phunk gaya
aaKHir ye wahi to gulshan hai rahte the jahan hum mil-jul ke
is daur ke pagal insanon nafrat ki farawani kab tak
gar aaj nahin to kal tum ko rahna hi paDega mil-jul ke
gar had se siwa pi loge 'falak' phir hosh kahan mai-KHane ka
do-chaar hi qatre kafi hain pichhe na paDho jam-e-mul ke
- Book : Harf-o-sada (Pg. 57)
- Author : Hira lal Falak Dehlvi
- Publication : Hira lal Falak Dehlvi (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.