aariz-e-yar nahin aks-fagan pani mein
aariz-e-yar nahin aks-fagan pani mein
Raja Girdhari Parsad Baqi
MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi
āriz-e-yār nahīñ aks-fagan paanī meñ
gul-e-shādāb kā phūlā hai chaman paanī meñ
āh-e-sozāñ ho agar sho.ala-fagan paanī meñ
aag kis tarah se paidā ho jalan paanī meñ
zulf-e-mushkīñ ke tasavvur meñ agar rotā maiñ
Duub jaatā abhī sahrā-e-ḳhutan paanī meñ
aao shāyad ki lab-e-hauz haiñ zulfeñ kholīñ
nazar aatā hai mujhe chāñd-gahan paanī meñ
paan khā kar jo vo muñh dho.e kanār-e-dariyā
sang-reze hue abhī la.al-e-yaman paanī meñ
machhliyāñ saikḌoñ misl-e-dil-e-ushshāq phañseñ
gar khule kākul-e-pur-pech-o-shikan paanī meñ
ātish-e-rashk se aġhyār jale jaate haiñ
mujh se chhīñTeñ na laḌo mushfiq-e-man paanī meñ
josh-e-girya jo yahī hai to falak misl-e-habāb
Duub jā.egā ba-yak chashm-zadan paanī meñ
baiThtā hai mirā yuuñ shiddat-e-girya se dil
jaise baiThe koī dīvār-e-kuhan paanī meñ
ābdār aisī ġhazal likkhī ki 'bāqī' jo suneñ
pheñk deñ apnā kalām ahl-e-suḳhan paanī meñ
aariz-e-yar nahin aks-fagan pani mein
gul-e-shadab ka phula hai chaman pani mein
aah-e-sozan ho agar shoala-fagan pani mein
aag kis tarah se paida ho jalan pani mein
zulf-e-mushkin ke tasawwur mein agar rota main
Dub jata abhi sahra-e-KHutan pani mein
aao shayad ki lab-e-hauz hain zulfen kholin
nazar aata hai mujhe chand-gahan pani mein
pan kha kar jo wo munh dhoe kanar-e-dariya
sang-reze hue abhi lal-e-yaman pani mein
machhliyan saikDon misl-e-dil-e-ushshaq phansen
gar khule kakul-e-pur-pech-o-shikan pani mein
aatish-e-rashk se aghyar jale jate hain
mujh se chhinTen na laDo mushfiq-e-man pani mein
josh-e-girya jo yahi hai to falak misl-e-habab
Dub jaega ba-yak chashm-zadan pani mein
baiThta hai mera yun shiddat-e-girya se dil
jaise baiThe koi diwar-e-kuhan pani mein
aabdar aisi ghazal likkhi ki 'baqi' jo sunen
phenk den apna kalam ahl-e-suKHan pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.