aariz ki tab saya-e-gesu ghazal mein hai
aariz kī taab sāya-e-gesū ġhazal meñ hai
ya.anī ki dhuup chhāñv kā jaadū ġhazal meñ hai
bazm-e-suḳhan na pūchh mo.attar hai kis liye
gulhā-e-rañgā-rang kī ḳhushbū ġhazal meñ hai
sakta qubūl qāfiya paimā.ī ko nahīñ
be-vazn honā mat ki tarāzū ġhazal meñ hai
kartā huuñ tere zikr se arz apnī baat maiñ
kab koī imtiyāz-e-man-o-tū ġhazal meñ hai
har ik ġhazal hai miir taqī 'mīr' ādatan
ho yā na ho hañsī magar aañsū ġhazal meñ hai
kahiye tamām shā.erī kī aabrū use
tarz-e-bayāñ kuchh aur hī urdu ġhazal meñ hai
aurat se guftugū ko nahīñ tuul dījiye
ījāz-o-iḳhtisār kā pahlū ġhazal meñ hai
aariz ki tab saya-e-gesu ghazal mein hai
yani ki dhup chhanw ka jadu ghazal mein hai
bazm-e-suKHan na puchh moattar hai kis liye
gulha-e-ranga-rang ki KHushbu ghazal mein hai
sakta qubul qafiya paimai ko nahin
be-wazn hona mat ki taraazu ghazal mein hai
karta hun tere zikr se arz apni baat main
kab koi imtiyaz-e-man-o-tu ghazal mein hai
har ek ghazal hai mir taqi 'mir' aadatan
ho ya na ho hansi magar aansu ghazal mein hai
kahiye tamam shaeri ki aabru use
tarz-e-bayan kuchh aur hi urdu ghazal mein hai
aurat se guftugu ko nahin tul dijiye
ijaz-o-iKHtisar ka pahlu ghazal mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.