aariz se tere bahaar maqsud
aariz se tire bahār maqsūd
hai ḳhat se ba-naqsha-zār maqsūd
uḌ uḌ ke ġhubār-e-āshiq aayā
kūcha meñ jo thā mazār maqsūd
ka.abe se ġhazāl kūdtā aa.e
ho un kā agar shikār maqsūd
gesū se ġharaz hai ḳhaas kar lail
ruḳhsār se hai nahār maqsūd
nargis hai chaman kī dīda-e-shauq
hai aap kā intizār maqsūd
dil kī na kalī shagufta hogī
gul se na rakhe hazār maqsūd
dāġhoñ kā 'vaqār' siina mushtāq
hai koh kā lāla-zār maqsūd
aariz se tere bahaar maqsud
hai KHat se ba-naqsha-zar maqsud
uD uD ke ghubar-e-ashiq aaya
kucha mein jo tha mazar maqsud
kabe se ghazal kudta aae
ho un ka agar shikar maqsud
gesu se gharaz hai KHas kar lail
ruKHsar se hai nahaar maqsud
nargis hai chaman ki dida-e-shauq
hai aap ka intizar maqsud
dil ki na kali shagufta hogi
gul se na rakhe hazar maqsud
daghon ka 'waqar' sina mushtaq
hai koh ka lala-zar maqsud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.