aarti hum kya utaren husn-e-mala-mal ki
aartī ham kyā utāreñ husn-e-mālā-māl kī
bujh ga.ī har jot puujā ke sunahre thaal kī
tum to kyā dastak nahīñ detīñ havā.eñ tak yahāñ
dil hai yā sunsān kuTiyā hai kisī kañgāl kī
dekh ai gul-pairahan tere liye pardes se
kaun laayā hai havāoñ kī mo.attar pālkī
phir ugāne do yahāñ ham ko lahū ke kuchh gulāb
aap ne to shāhrāh-e-dil bahut pāmāl kī
tū muqaddas aañkh hai ya.anī hasīñ sūraj kī aañkh
aur maiñ gahrī guphā vo bhī kisī pātāl kī
tum pilāo apne hoñToñ se agar āb-e-hayāt
pheñk deñge ham surāhī ātishīñ sayyāl kī
gungunā kar tairtā hai jis meñ ḳhushbū kā badan
'prem' terī shā.irī vo jhiil hai sur-tāl kī
aarti hum kya utaren husn-e-mala-mal ki
bujh gai har jot puja ke sunahre thaal ki
tum to kya dastak nahin detin hawaen tak yahan
dil hai ya sunsan kuTiya hai kisi kangal ki
dekh ai gul-pairahan tere liye pardes se
kaun laya hai hawaon ki moattar palki
phir ugane do yahan hum ko lahu ke kuchh gulab
aap ne to shahrah-e-dil bahut pamal ki
tu muqaddas aankh hai yani hasin suraj ki aankh
aur main gahri gupha wo bhi kisi patal ki
tum pilao apne honTon se agar aab-e-hayat
phenk denge hum surahi aatishin sayyal ki
gunguna kar tairta hai jis mein KHushbu ka badan
'prem' teri shairi wo jhil hai sur-tal ki
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 174)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.