aarzī hote haiñ jazbe saare
duur mujh se raheñ achchhe saare
naam bhāshā hai alag dharm alag
hote haiñ ek se bande saare
dostī pyaar vafā aur ḳhulūs
mujhe lagte haiñ ye phande saare
aañkh khulte haiñ achānak ġhā.eb
niiñd meñ rah ga.e sapne saare
ek bhī shaḳhs nahīñ hai apnā
shahr meñ log haiñ kitne saare
apne jismoñ meñ dubak jaate haiñ
ghar pahuñchte hī tamāshe saare
aarzi hote hain jazbe sare
dur mujh se rahen achchhe sare
nam bhasha hai alag dharm alag
hote hain ek se bande sare
dosti pyar wafa aur KHulus
mujhe lagte hain ye phande sare
aankh khulte hain achanak ghaeb
nind mein rah gae sapne sare
ek bhi shaKHs nahin hai apna
shahr mein log hain kitne sare
apne jismon mein dubak jate hain
ghar pahunchte hi tamashe sare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.