aarzu ab ghaT rahi hai baqi to sab Thik hai
aarzū ab ghaT rahī hai baaqī to sab Thiik hai
ziist kuchh yuuñ kaT rahī hai baaqī to sab Thiik hai
lab rahe haiñ muskurāte āñdhiy.oñ ke biich bhī
māthe pe silvaT rahī hai baaqī to sab Thiik hai
kyā sitam hai sirf ham ko zindagī ko chhoḌ ke
har kisī se saT rahī hai baaqī to sab Thiik hai
din nikaltā hai mirā dushvāriyoñ se jang meñ
raat ik karvaT rahī hai baaqī to sab Thiik hai
muflisī se ham ko yaaro itnā sā hai bas gila
duniyā ham se kaT rahī hai baaqī to sab Thiik hai
aarzu ab ghaT rahi hai baqi to sab Thik hai
zist kuchh yun kaT rahi hai baqi to sab Thik hai
lab rahe hain muskuraate aandhiyon ke bich bhi
mathe pe silwaT rahi hai baqi to sab Thik hai
kya sitam hai sirf hum ko zindagi ko chhoD ke
har kisi se saT rahi hai baqi to sab Thik hai
din nikalta hai mera dushwariyon se jang mein
raat ek karwaT rahi hai baqi to sab Thik hai
muflisi se hum ko yaro itna sa hai bas gila
duniya hum se kaT rahi hai baqi to sab Thik hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.