aarzu aur hawas ka hissa hun
aarzū aur havas kā hissa huuñ
jism kī lazzatoñ kā qissa huuñ
ek kunj-e-farār meñ mahfūz
pas-e-dīvār huuñ maiñ saaya huuñ
shab-gazīda idhar se guzreñge
kārvān-e-sahar kā jaada huuñ
hairatī maiñ ki merā ā.īna
jism huuñ yā ki raqs-e-bāda yuuñ
merī tanhā.ī mujh se kahtī hai
naqsh-e-kohna pe naqsh-e-tāza huuñ
kaif-o-kam ke shumār kyā ma.anī
maiñ to manzar huuñ maiñ to diida huuñ
mujh ko mat chaak kar ki apne ta.iiñ
nāma-e-dost huuñ maiñ girya huuñ
maiñ ulūm-e-zamāñ kā shahzāda
maiñ zamīñ-zād ibn-e-sīnā huuñ
matn-o-qārī ke darmiyāñ meñ kyā
maiñ faqat lafz huuñ ki ma.anā hoñ
aarzu aur hawas ka hissa hun
jism ki lazzaton ka qissa hun
ek kunj-e-farar mein mahfuz
pas-e-diwar hun main saya hun
shab-gazida idhar se guzrenge
karwan-e-sahar ka jada hun
hairati main ki mera aaina
jism hun ya ki raqs-e-baada yun
meri tanhai mujh se kahti hai
naqsh-e-kohna pe naqsh-e-taza hun
kaif-o-kam ke shumar kya mani
main to manzar hun main to dida hun
mujh ko mat chaak kar ki apne tain
nama-e-dost hun main girya hun
main ulum-e-zaman ka shahzada
main zamin-zad ibn-e-sina hun
matn-o-qari ke darmiyan mein kya
main faqat lafz hun ki mana hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.