aarzu baqi nahin koi KHushi baqi nahin
aarzū baaqī nahīñ koī ḳhushī baaqī nahīñ
bujh ga.ī hai sham-e-dil ab raushnī baaqī nahīñ
ai umīdo so bhī jaao shām-e-ġham Dhalne lagī
ab nashāt-e-zindagī meñ dilkashī baaqī nahīñ
pahroñ ehsās-e-ġharībī par thā jhunjhlāyā kabhī
lāsha-e-ehsās meñ ab tishnagī baaqī nahīñ
giit bikhrā.e the maiñ ne rāh-e-ulfat meñ kabhī
ab shikasta-sāz huuñ vo naġhmagī baaqī nahīñ
naam se 'parvez' jin ke chaar sū thī raushnī
bujh ga.e vo ranj-o-ġham se raushnī baaqī nahīñ
aarzu baqi nahin koi KHushi baqi nahin
bujh gai hai sham-e-dil ab raushni baqi nahin
ai umido so bhi jao sham-e-gham Dhalne lagi
ab nashat-e-zindagi mein dilkashi baqi nahin
pahron ehsas-e-gharibi par tha jhunjhlaya kabhi
lasha-e-ehsas mein ab tishnagi baqi nahin
git bikhrae the main ne rah-e-ulfat mein kabhi
ab shikasta-saz hun wo naghmagi baqi nahin
nam se 'parwez' jin ke chaar su thi raushni
bujh gae wo ranj-o-gham se raushni baqi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.