aarzu-e-aish-koshi ab to ek aazar hai
ārzū-e-aish-koshī ab to ik āzār hai
ghar ke bāhar ghar ke andar har taraf bāzār hai
muntazir hai ek sāhil aur shikasta sā vajūd
biich dariyā meñ khaḌā hai aar hai na paar hai
sar jhukāyā jab bhī maiñ ne vo pashemāñ ho gayā
haar merī jiit hai aur jiit us kī haar hai
baḌh ga.ī us kī kashish jab dar qafas ke vā hue
chhoḌ denā ab to us ko aur bhī dushvār hai
Duub jā.eñge jazīre kis ko is kī fikr hai
bas pighaltī barf hai aur garmī-e-bāzār hai
dirham-o-dīnār se ab raushnī hotī nahīñ
ghar kī chaukhaT ke liye ghar kā diyā darkār hai
aarzu-e-aish-koshi ab to ek aazar hai
ghar ke bahar ghar ke andar har taraf bazar hai
muntazir hai ek sahil aur shikasta sa wajud
bich dariya mein khaDa hai aar hai na par hai
sar jhukaya jab bhi main ne wo pasheman ho gaya
haar meri jit hai aur jit us ki haar hai
baDh gai us ki kashish jab dar qafas ke wa hue
chhoD dena ab to us ko aur bhi dushwar hai
Dub jaenge jazire kis ko is ki fikr hai
bas pighalti barf hai aur garmi-e-bazar hai
dirham-o-dinar se ab raushni hoti nahin
ghar ki chaukhaT ke liye ghar ka diya darkar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.