aarzu-e-dawam karta hun
ārzū-e-davām kartā huuñ
zindagī vaqf-e-ām kartā huuñ
aap se iḳhtilāf hai lekin
aap kā ehtirām kartā huuñ
mujh ko taqrīb se ta.alluq kyā
maiñ faqat ehtimām kartā huuñ
dars-o-tadrīs ishq mazdūrī
jo bhī mil jaa.e kaam kartā huuñ
justujū hī mirā asāsa hai
jā ise tere naam kartā huuñ
haañ magar barg-e-zard kī sūrat
sub.h ko maiñ bhī shaam kartā huuñ
vaqt guzre pe aa.e ho 'aslam'
ḳhair kuchh intizām kartā huuñ
aarzu-e-dawam karta hun
zindagi waqf-e-am karta hun
aap se iKHtilaf hai lekin
aap ka ehtiram karta hun
mujh ko taqrib se talluq kya
main faqat ehtimam karta hun
dars-o-tadris ishq mazduri
jo bhi mil jae kaam karta hun
justuju hi mera asasa hai
ja ise tere nam karta hun
han magar barg-e-zard ki surat
subh ko main bhi sham karta hun
waqt guzre pe aae ho 'aslam'
KHair kuchh intizam karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.