aarzu-e-dil-e-sad-chaak hai darman hona
ārzū-e-dil-e-sad-chāk hai darmāñ honā
ya.anī kuchh aur tirī teġh kā ehsāñ honā
maut aanā hai ġham-e-hijr kā darmāñ honā
ye vo mushkil hai ki āsān nahīñ āsāñ honā
maqsad-e-zīst hai qurbāñ ba-dil-o-jāñ honā
naam ehsās-e-farā.ez kā hai insāñ honā
ban ga.e tā.ir-e-tasvīr qafas meñ aa kar
raas aayā na asīroñ ko ḳhush-ilhāñ honā
rah ga.ī ab to yahī ek ibādat apnī
yaad kar kar ke gunāhoñ ko pashemāñ honā
bā.is-e-marg huī joshish-e-shauq-e-bismil
us kī qismat meñ na thā aap kā ehsāñ honā
ā.ina-dār-e-haqīqat hai ḳhushā josh-e-junūñ
zarre zarre kā bayābāñ ke bayābāñ honā
merī bālīñ pe na baiTho ki bahut mushkil hai
jaan se duur sharīk-e-ġham-e-pinhāñ honā
muskurā kar ye pas-e-qatl bhī kahtā hai 'shamīm'
vo bhī ho jaa.e jo baaqī hai mirī jaañ honā
aarzu-e-dil-e-sad-chaak hai darman hona
yani kuchh aur teri tegh ka ehsan hona
maut aana hai gham-e-hijr ka darman hona
ye wo mushkil hai ki aasan nahin aasan hona
maqsad-e-zist hai qurban ba-dil-o-jaan hona
nam ehsas-e-faraez ka hai insan hona
ban gae tair-e-taswir qafas mein aa kar
ras aaya na asiron ko KHush-ilhan hona
rah gai ab to yahi ek ibaadat apni
yaad kar kar ke gunahon ko pasheman hona
bais-e-marg hui joshish-e-shauq-e-bismil
us ki qismat mein na tha aap ka ehsan hona
aaina-dar-e-haqiqat hai KHusha josh-e-junun
zarre zarre ka bayaban ke bayaban hona
meri baalin pe na baiTho ki bahut mushkil hai
jaan se dur sharik-e-gham-e-pinhan hona
muskura kar ye pas-e-qatl bhi kahta hai 'shamim'
wo bhi ho jae jo baqi hai meri jaan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.