aarzu-e-visal-e-yar karen
ārzū-e-visāl-e-yār kareñ
kis ke aane kā intizār kareñ
dard ke kis maqām se guzreñ
apnā dariyā kahāñ se paar kareñ
kis se kis moḌ par bichhaḌ jaa.eñ
kaun sā hijr iḳhtiyār kareñ
ye jo ik zaḳhm-e-jāñ pas-e-jāñ hai
kis ke siine ke ār-pār kareñ
fursat-e-shauq umr-e-āvāra
aa tujhe aaj sharmsār kareñ
dil kī ūñchī machān par baiTheñ
aur koī aarzū shikār kareñ
mas.ala ye hai kis havāle se
koī ḳhvāhish sipurd-e-yār kareñ
kaash tum roz hī mukar jaao
kaash ham roz intizār kareñ
chāñd chhat par zarūr aa.egā
merī āñkhoñ kā e'tibār kareñ
ek mushkil sī aa paḌī hai 'qais'
terī āñkhoñ pe kyā nisār kareñ
aarzu-e-visal-e-yar karen
kis ke aane ka intizar karen
dard ke kis maqam se guzren
apna dariya kahan se par karen
kis se kis moD par bichhaD jaen
kaun sa hijr iKHtiyar karen
ye jo ek zaKHm-e-jaan pas-e-jaan hai
kis ke sine ke aar-par karen
fursat-e-shauq umr-e-awara
aa tujhe aaj sharmsar karen
dil ki unchi machan par baiThen
aur koi aarzu shikar karen
masala ye hai kis hawale se
koi KHwahish sipurd-e-yar karen
kash tum roz hi mukar jao
kash hum roz intizar karen
chand chhat par zarur aaega
meri aankhon ka e'tibar karen
ek mushkil si aa paDi hai 'qais'
teri aankhon pe kya nisar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.