aarzu-e-visal mein sab hain
ārzū-e-visāl meñ sab haiñ
justujū-e-muhāl meñ sab haiñ
hijr apnī taraf se hai varna
us taraf se visāl meñ sab haiñ
vā-e-ġhaflat udhar kī kahte nahīñ
apnī hī qīl-o-qāl meñ sab haiñ
ai 'razā' tujh ko kuchh ḳhayāl nahīñ
apne apne ḳhayāl meñ sab haiñ
aarzu-e-visal mein sab hain
justuju-e-muhaal mein sab hain
hijr apni taraf se hai warna
us taraf se visal mein sab hain
wa-e-ghaflat udhar ki kahte nahin
apni hi qil-o-qal mein sab hain
ai 'raza' tujh ko kuchh KHayal nahin
apne apne KHayal mein sab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.