aarzu hai bahut kinare ki
aarzū hai bahut kināre kī
der hai bas tere ishāre kī
vo yahāñ aa.e aur chale bhī ga.e
kyā zarūrat thī nām-chāre kī
ai havāo udhar na le jaao
maiñ lahar huuñ usī kināre kī
chāñd kā naam dījiye na mujhe
sirf parchhā.īñ huuñ sitāre kī
zindagī kyā hai kuchh nahīñ hai bas
ek tasvīr hai sharāre kī
merī hālat bhī aaj aisī hai
jaisī gardish meñ ik sitāre kī
aarzu hai bahut kinare ki
der hai bas tere ishaare ki
wo yahan aae aur chale bhi gae
kya zarurat thi nam-chaare ki
ai hawao udhar na le jao
main lahar hun usi kinare ki
chand ka nam dijiye na mujhe
sirf parchhain hun sitare ki
zindagi kya hai kuchh nahin hai bas
ek taswir hai sharare ki
meri haalat bhi aaj aisi hai
jaisi gardish mein ek sitare ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.