aarzu hai ki nazren milae koi
aarzū hai ki nazreñ milā.e koī
sharm se merī nazreñ jhukā.e koī
kāmyābī sajāte haiñ dīvār par
ḳhāmiyoñ ko bhī apnī sajā.e koī
ban ke ash'ār bikhre paḌe haiñ ka.ī
mujh ko puurī ġhazal ik banā.e koī
is se pahle ki murjhā ke rakh de havā
gul ko gul-dān meñ bhī sajā.e koī
aarzu hai ki nazren milae koi
sharm se meri nazren jhukae koi
kaamyabi sajate hain diwar par
KHamiyon ko bhi apni sajae koi
ban ke ash'ar bikhre paDe hain kai
mujh ko puri ghazal ek banae koi
is se pahle ki murjha ke rakh de hawa
gul ko gul-dan mein bhi sajae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.