aarzu hai na koi hasrat hai
aarzū hai na koī hasrat hai
yaad hī us kī ab ġhanīmat hai
ġham kī daulat hī merī daulat hai
is meñ bhī mujh ko ain rāhat hai
dekhiye kaun kāmrāñ nikle
maiñ huuñ yā ab merī musībat hai
kyoñ pashemāñ ho dil gunāhoñ par
us kī baḳhshish hai us kī rahmat hai
us se kyā ho mujhe umīd-e-vafā
bevafā.ī hī jis kī aadat hai
ġham meñ masrūr dard meñ shādāñ
dil kī fitrat ajiib fitrat hai
har zabāñ par hai ab hamārā naam
ai mohabbat tirī ināyat hai
ho chukī intihā jafāoñ kī
ab tire lutf kī zarūrat hai
gulistānoñ kā hai maqām apnā
ḳhārzāroñ kī apnī azmat hai
ġham na ho to hai zindagī be-kaif
ġham hī se zindagī ibārat hai
din bahāroñ ke bhī na raas aa.e
mere ḳhāliq ye merī qismat hai
shorisheñ ḳhatm haiñ shabāb ke saath
ab vo dil hai na vo tabī.at hai
maut se log kyoñ hirāsāñ haiñ
zindagī bhī to ik musībat hai
koī begāna ho ki apnā ho
har kisī se hameñ mohabbat hai
ġham se bezār kis liye ho 'kañval'
ġham hī se aadmī kī izzat hai
aarzu hai na koi hasrat hai
yaad hi us ki ab ghanimat hai
gham ki daulat hi meri daulat hai
is mein bhi mujh ko ain rahat hai
dekhiye kaun kaamran nikle
main hun ya ab meri musibat hai
kyon pasheman ho dil gunahon par
us ki baKHshish hai us ki rahmat hai
us se kya ho mujhe umid-e-wafa
bewafai hi jis ki aadat hai
gham mein masrur dard mein shadan
dil ki fitrat ajib fitrat hai
har zaban par hai ab hamara nam
ai mohabbat teri inayat hai
ho chuki intiha jafaon ki
ab tere lutf ki zarurat hai
gulistanon ka hai maqam apna
KHarzaron ki apni azmat hai
gham na ho to hai zindagi be-kaif
gham hi se zindagi ibarat hai
din bahaaron ke bhi na ras aae
mere KHaliq ye meri qismat hai
shorishen KHatm hain shabab ke sath
ab wo dil hai na wo tabiat hai
maut se log kyon hirasan hain
zindagi bhi to ek musibat hai
koi begana ho ki apna ho
har kisi se hamein mohabbat hai
gham se bezar kis liye ho 'kanwal'
gham hi se aadmi ki izzat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.