aarzu jaane bhi kaise koi rutba man ka
aarzu jaane bhi kaise koi rutba man ka
Arzoo Ashraf Sultanpuri
MORE BYArzoo Ashraf Sultanpuri
'ārzū' jaane bhī kaise koī rutba maañ kā
rū-e-jannat se hasīñ lagtā hai talvā maañ kā
ḳhud to bhūkī hai khilātī hai magar bachchoñ ko
maiñ to qurbān gayā dekh ke faaqa maañ kā
bhuul baiThā vo javāñ ho ke sabhī ehsānāt
jo kabhī oḌh ke sotā thā dupaTTa maañ kā
saarī uljhan mirī pal bhar meñ sulajh jaatī hai
sāmne jab mire aa jaatā hai chehra maañ kā
din meñ taare nazar aa jaate haiñ un ko aksar
'ārzū' jin ke saroñ par nahīñ saayā maañ kā
'arzu' jaane bhi kaise koi rutba man ka
ru-e-jannat se hasin lagta hai talwa man ka
KHud to bhuki hai khilati hai magar bachchon ko
main to qurban gaya dekh ke faqa man ka
bhul baiTha wo jawan ho ke sabhi ehsanat
jo kabhi oDh ke sota tha dupaTTa man ka
sari uljhan meri pal bhar mein sulajh jati hai
samne jab mere aa jata hai chehra man ka
din mein tare nazar aa jate hain un ko aksar
'arzu' jin ke saron par nahin saya man ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.