aarzū jab javāñ nahīñ hotī
zindagī naġhma-ḳhvāñ nahīñ hotī
kis tarah hāl-e-dil bayāñ karte
āshiqoñ kī zabāñ nahīñ hotī
aap jab mehrbāñ nahīñ hote
maut bhī mehrbāñ nahīñ hotī
dil kī baazī lagāne vāloñ ko
fikr-e-sūd-o-ziyāñ nahīñ hotī
ranj sah kar bhī rāt-din 'ābid'
ham se āh-o-fuġhāñ nahīñ hotī
aarzu jab jawan nahin hoti
zindagi naghma-KHwan nahin hoti
kis tarah haal-e-dil bayan karte
aashiqon ki zaban nahin hoti
aap jab mehrban nahin hote
maut bhi mehrban nahin hoti
dil ki bazi lagane walon ko
fikr-e-sud-o-ziyan nahin hoti
ranj sah kar bhi raat-din 'abid'
hum se aah-o-fughan nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.