aarzu jin ki hai unki anjuman tak aa gae
aarzū jin kī hai un kī anjuman tak aa ga.e
nik.hat-e-gul ke sahāre ham chaman tak aa ga.e
be-ruḳhī se aap jab begāna-pan tak aa ga.e
aaj ham bhī jur.at-e-jurm-e-suḳhan tak aa ga.e
mai-kada phir bhī ġhanīmat hai jahāñ is daur meñ
ek hī markaz pe shaiḳh-o-barhaman tak aa ga.e
jal bujhe ahl-e-junūñ lekin kisī ko kyā ḳhabar
kitne sho'le ḳhud usī gul-pairahan tak aa ga.e
mo'atabar ho kar rahī dīvāngī apnī 'surūr'
jitne andāz-e-junūñ the bāñkpan tak aa ga.e
aarzu jin ki hai un ki anjuman tak aa gae
nikhat-e-gul ke sahaare hum chaman tak aa gae
be-ruKHi se aap jab begana-pan tak aa gae
aaj hum bhi jurat-e-jurm-e-suKHan tak aa gae
mai-kada phir bhi ghanimat hai jahan is daur mein
ek hi markaz pe shaiKH-o-barhaman tak aa gae
jal bujhe ahl-e-junun lekin kisi ko kya KHabar
kitne sho'le KHud usi gul-pairahan tak aa gae
mo'atabar ho kar rahi diwangi apni 'surur'
jitne andaz-e-junun the bankpan tak aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.