aarzu ko salam karte hain
aarzu ko salam karte hain
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
aarzū ko salām karte haiñ
dil kā qissa tamām karte haiñ
aa sakegā na lab pe rāz-e-ishq
husn kā ehtirām karte haiñ
is fareb-e-ḳhayāl ke sadqe
aap mujh se kalām karte haiñ
ai falak kuchh to chain lene de
do ghaḌī ko maqām karte haiñ
ḳhaak bhī ab nahīñ shahīdoñ kī
kyuuñ vo azm-e-ḳhirām karte haiñ
sab hī dete haiñ jaan yuuñ 'kaifī'
aap kyā aisā kaam karte haiñ
aarzu ko salam karte hain
dil ka qissa tamam karte hain
aa sakega na lab pe raaz-e-ishq
husn ka ehtiram karte hain
is fareb-e-KHayal ke sadqe
aap mujh se kalam karte hain
ai falak kuchh to chain lene de
do ghaDi ko maqam karte hain
KHak bhi ab nahin shahidon ki
kyun wo azm-e-KHiram karte hain
sab hi dete hain jaan yun 'kaifi'
aap kya aisa kaam karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.