Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzu le ke koi ghar se nikalte kyun ho

Wali Aasi

aarzu le ke koi ghar se nikalte kyun ho

Wali Aasi

MORE BYWali Aasi

    aarzū le ke koī ghar se nikalte kyuuñ ho

    paañv julte haiñ to phir aag pe chalte kyuuñ ho

    shohrateñ sab ke muqaddar meñ kahāñ hotī haiñ

    tum ye har roz nayā bhes badalte kyuuñ ho

    yuuñ to tum aur bhī mashkūk nazar aaoge

    baat karte hue ruk ruk ke sañbhle kyuuñ ho

    haañ! tumheñ jurm ehsās satātā hogā

    varna yuuñ rātoñ ko uTh uTh ke Tahalte kyuuñ ho

    aur bāzār se 'ġhālib' tarah le aao

    dil agar TuuT gayā hai to machalte kyuuñ ho

    tum ne pahle kabhī is baat ko sochā hotā

    peḌ chhāñv meñ baiThe ho to jalte kyuuñ ho

    aarzu le ke koi ghar se nikalte kyun ho

    panw julte hain to phir aag pe chalte kyun ho

    shohraten sab ke muqaddar mein kahan hoti hain

    tum ye har roz naya bhes badalte kyun ho

    yun to tum aur bhi mashkuk nazar aaoge

    baat karte hue ruk ruk ke sanbhle kyun ho

    han! tumhein jurm ka ehsas satata hoga

    warna yun raaton ko uTh uTh ke Tahalte kyun ho

    aur bazar se 'ghaalib' ki tarah le aao

    dil agar TuT gaya hai to machalte kyun ho

    tum ne pahle kabhi is baat ko socha hota

    peD ki chhanw mein baiThe ho to jalte kyun ho

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 107)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now