aarzu mahw-e-KHwab hai shayad
aarzū mahv-e-ḳhvāb hai shāyad
justujū kā javāb hai shāyad
zaḳhm-e-dil key bahār kyā kahiye
muskurātā gulāb hai shāyad
ik na.ī tishnagī ba-har lamha
saarī duniyā sarāb hai shāyad
ahd-e-māzī pe jab nazar Daalī
ik adhūrī kitāb hai shāyad
koī jiitā hai koī martā hai
zindagānī habāb hai shāyad
'raushnī' is ġhazal kī sarmastī
us ġhazal kī sharāb hai shāyad
aarzu mahw-e-KHwab hai shayad
justuju ka jawab hai shayad
zaKHm-e-dil key bahaar kya kahiye
muskuraata gulab hai shayad
ek nai tishnagi ba-har lamha
sari duniya sarab hai shayad
ahd-e-mazi pe jab nazar Dali
ek adhuri kitab hai shayad
koi jita hai koi marta hai
zindagani habab hai shayad
'raushni' is ghazal ki sarmasti
us ghazal ki sharab hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.