aarzu miT na saki umr basar hone tak
aarzū miT na sakī 'umr basar hone tak
sham' jaltī rahī bujh bujh ke sahar hone tak
'ālim-e-shāḳh-o-gul-o-barg-e-chaman se pūchho
ek daane pe jo guzrī hai samar hone tak
sabr kahtā hai ki ab nāloñ ko ruḳhsat diije
zabt kahtā hai karo sabr asar hone tak
TimTimātā hai sar-e-shām hī se dil kā charāġh
jaane kyā hogā shab-e-ġham kī sahar hone tak
kashtī-e-'aql salāmat hai yam-e-hastī meñ
mauja-e-dard-e-mohabbat ke guzar hone tak
merī hastī kā har ik naqsh thā phīkā phīkā
'ishq meñ ḳhūn-e-dil-o-ḳhūn-e-jigar hone tak
kitne tāroñ ne sahar shab ko banānā chāhā
ḳhud magar Duub ga.e nūr-e-sahar hone tak
ġhuncha khilne ko hai muhtāj-e-shu'ā'-e-ḳhurshīd
dil na parvān chaḌhā un kī nazar hone tak
jaane kitne hī abhī hashr uTheñge 'rā’nā'
ḳhaak ke zarroñ ke ḳhurshīd-o-qamar hone tak
aarzu miT na saki 'umr basar hone tak
sham' jalti rahi bujh bujh ke sahar hone tak
'alim-e-shaKH-o-gul-o-barg-e-chaman se puchho
ek dane pe jo guzri hai samar hone tak
sabr kahta hai ki ab nalon ko ruKHsat dije
zabt kahta hai karo sabr asar hone tak
TimTimata hai sar-e-sham hi se dil ka charagh
jaane kya hoga shab-e-gham ki sahar hone tak
kashti-e-'aql salamat hai yam-e-hasti mein
mauja-e-dard-e-mohabbat ke guzar hone tak
meri hasti ka har ek naqsh tha phika phika
'ishq mein KHun-e-dil-o-KHun-e-jigar hone tak
kitne taron ne sahar shab ko banana chaha
KHud magar Dub gae nur-e-sahar hone tak
ghuncha khilne ko hai muhtaj-e-shu'a'-e-KHurshid
dil na parwan chaDha un ki nazar hone tak
jaane kitne hi abhi hashr uThenge 'ra’na'
KHak ke zarron ke KHurshid-o-qamar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.