aarzu pe jafa kare koi
aarzū pe jafā kare koī
phir ḳhafā ho ḳhudā kare koī
ye bhī insāf hai koī ai charḳh
ro.eñ ham aur hañsā kare koī
baat puurī kabhī sunī hī nahīñ
mudda.ā arz kyā kare koī
ḳhaak meñ mil gayā maiñ āḳhir-kār
aur jaur-o-jafā kare koī
jab tumhīñ yuuñ javāb de do saaf
kis se phir iltijā kare koī
chham se aa jaa.e mere pahlū meñ
shab-e-furqat ḳhudā kare koī
kah rahī haiñ kisī kī shoḳh āñkheñ
kyoñ kisī se hayā kare koī
ye to kahte ho dil ko samjhāo
dil na samjhe to kyā kare koī
sab hasīñ bevafā haiñ ai 'shabnam'
kyā kisī se vafā kare koī
aarzu pe jafa kare koi
phir KHafa ho KHuda kare koi
ye bhi insaf hai koi ai charKH
roen hum aur hansa kare koi
baat puri kabhi suni hi nahin
muddaa arz kya kare koi
KHak mein mil gaya main aaKHir-kar
aur jaur-o-jafa kare koi
jab tumhin yun jawab de do saf
kis se phir iltija kare koi
chham se aa jae mere pahlu mein
shab-e-furqat KHuda kare koi
kah rahi hain kisi ki shoKH aankhen
kyon kisi se haya kare koi
ye to kahte ho dil ko samjhao
dil na samjhe to kya kare koi
sab hasin bewafa hain ai 'shabnam'
kya kisi se wafa kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.