aarzu tadbir ho kar rah gai
aarzū tadbīr ho kar rah ga.ī
justujū tāḳhīr ho kar rah ga.ī
sard sannāTā musallat ho gayā
be-hisī zanjīr ho kar rah ga.ī
soch kī āvāz kitnī tez hai
ḳhāmushī taqrīr ho kar rah ga.ī
jab bhī kī tahrīr apnī dāstāñ
terī hī tasvīr ho kar rah ga.ī
kaaT hai alfāz kī kitnī shadīd
guftugū shamshīr ho kar rah ga.ī
aah ye din rain kī bechain soch
jo mirī taqdīr ho kar rah ga.ī
said-e-taḳhrīb-e-ḳhirad hai zindagī
hasrat-e-tāmīr ho kar rah ga.ī
harf-e-sanjīda thī rūdād-e-ḳhirad
kitnī be-tāsīr ho kar rah ga.ī
ahd-e-hāzir kī kitābī shā.irī
fikr kī jāgīr ho kar rah ga.ī
mere fikr-o-fan kī azmat āḳhirash
shoḳhi-e-tahrīr ho kar rah ga.ī
'kirshn' mohan ḳhvāb kī tābīr bhī
dard kī tafsīr ho kar rah ga.ī
aarzu tadbir ho kar rah gai
justuju taKHir ho kar rah gai
sard sannaTa musallat ho gaya
be-hisi zanjir ho kar rah gai
soch ki aawaz kitni tez hai
KHamushi taqrir ho kar rah gai
jab bhi ki tahrir apni dastan
teri hi taswir ho kar rah gai
kaT hai alfaz ki kitni shadid
guftugu shamshir ho kar rah gai
aah ye din rain ki bechain soch
jo meri taqdir ho kar rah gai
said-e-taKHrib-e-KHirad hai zindagi
hasrat-e-tamir ho kar rah gai
harf-e-sanjida thi rudad-e-KHirad
kitni be-tasir ho kar rah gai
ahd-e-hazir ki kitabi shairi
fikr ki jagir ho kar rah gai
mere fikr-o-fan ki azmat aaKHirash
shoKHi-e-tahrir ho kar rah gai
'kirshn' mohan KHwab ki tabir bhi
dard ki tafsir ho kar rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.