aarzu thi ek din tujhse milun
aarzū thī ek din tujh se milūñ
mil gayā to sochtā huuñ kyā karūñ
jism tū bhī aur maiñ bhī jism huuñ
kis tarah phir terā pairāhan banūñ
rāsta koī kahīñ miltā nahīñ
jism meñ janmoñ se apne qaid huuñ
thī ghuTan pahle bhī par aisī na thī
jī meñ aatā hai ki khiḌkī khol duuñ
ḳhud-kushī ke saiñkaḌoñ andāz haiñ
aarzū hī kā na dāman thaam luuñ
sā.ateñ san.at-garī karne lagīñ
har taraf hai yaad kā gahrā fusūñ
aarzu thi ek din tujh se milun
mil gaya to sochta hun kya karun
jism tu bhi aur main bhi jism hun
kis tarah phir tera pairahan banun
rasta koi kahin milta nahin
jism mein janmon se apne qaid hun
thi ghuTan pahle bhi par aisi na thi
ji mein aata hai ki khiDki khol dun
KHud-kushi ke sainkaDon andaz hain
aarzu hi ka na daman tham lun
saaten sanat-gari karne lagin
har taraf hai yaad ka gahra fusun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.