aarzu thi to iztirab bhi tha
aarzū thī to iztirāb bhī thā
niiñd gahrī thī aur ḳhvāb bhī thā
ik bagūlā thā ret kā pīchhe
dasht meñ sāmne sarāb bhī thā
merī qismat ke sard hāthoñ meñ
mere hisse kā kuchh azaab bhī thā
ham-safar is safar meñ tū hī batā
kyā savāloñ kā kuchh javāb bhī thā
bazm meñ luT rahe the mīnā-o-jām
aur aadat kā vo ḳharāb bhī thā
saarī duniyā kā intiḳhāb thā vo
aur vo merā intiḳhāb bhī thā
thā kabhī vaqt jab hamārā dil
ik mahaktā huā gulāb bhī thā
khoī khoī sī us kī āñkhoñ meñ
mujh ko paane kā ik ḳhvāb bhī thā
zindagī thī khulī kitāb mirī
aur vo sāhib-e-kitāb bhī thā
aarzu thi to iztirab bhi tha
nind gahri thi aur KHwab bhi tha
ek bagula tha ret ka pichhe
dasht mein samne sarab bhi tha
meri qismat ke sard hathon mein
mere hisse ka kuchh azab bhi tha
ham-safar is safar mein tu hi bata
kya sawalon ka kuchh jawab bhi tha
bazm mein luT rahe the mina-o-jam
aur aadat ka wo KHarab bhi tha
sari duniya ka intiKHab tha wo
aur wo mera intiKHab bhi tha
tha kabhi waqt jab hamara dil
ek mahakta hua gulab bhi tha
khoi khoi si us ki aankhon mein
mujh ko pane ka ek KHwab bhi tha
zindagi thi khuli kitab meri
aur wo sahib-e-kitab bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.