aarzu tujhse tera bosa bhi kab mange hai
aarzū tujh se tirā bosa bhī kab māñge hai
harf-e-iqrār bas ik jumbish-e-lab māñge hai
us kī chāhat meñ ajab dil kī talab kā aalam
dard jitnā bhī zamāne meñ hai sab māñge hai
ho salīqa jo zarā saarī tamannā bar aa.e
husn phir husn hai aur husn-e-talab māñge hai
be-talab jaan talak sauñp dī jis ko vo ab
ḳhud se chāhat kā mirī kyā hai sabab māñge hai
kab talak ḳhuun rulāte hue manzar dekhe
niiñd ko aañkh zarā der ko ab māñge hai
harf-e-iz.hār taḌaptā hai taḌapne diije
ye mohabbat hai miyāñ pās-e-adab māñge hai
to mirī jaañ hai na rah duur ki ab zehn mirā
kyuuñ hai zinda ye badan mujh se sabab māñge hai
aarzu tujh se tera bosa bhi kab mange hai
harf-e-iqrar bas ek jumbish-e-lab mange hai
us ki chahat mein ajab dil ki talab ka aalam
dard jitna bhi zamane mein hai sab mange hai
ho saliqa jo zara sari tamanna bar aae
husn phir husn hai aur husn-e-talab mange hai
be-talab jaan talak saunp di jis ko wo ab
KHud se chahat ka meri kya hai sabab mange hai
kab talak KHun rulate hue manzar dekhe
nind ko aankh zara der ko ab mange hai
harf-e-izhaar taDapta hai taDapne dije
ye mohabbat hai miyan pas-e-adab mange hai
to meri jaan hai na rah dur ki ab zehn mera
kyun hai zinda ye badan mujh se sabab mange hai
- Book : Jazira meri aafiyat ka (Pg. 12)
- Author : Shafiq Abbas
- Publication : Kitab Daar (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.