aarzuen kamal-amada
ārzūeñ kamāl-āmāda
zindagānī zavāl-āmāda
zindagī tishna-e-majāl-e-javāb
lamha lamha savāl-āmāda
zaḳhm khā kar biphar rahī hai anā
ājizī hai jalāl-āmāda
kaise hamvār ho nibāh kī raah
dil muḳhālif ḳhayāl āmāda
phir koī nishtar-āzmā ho jaa.e
zaḳhm haiñ indimāl-āmāda
har qadam phūñk phūñk kar rakhiye
rahguzar hai jidāl-āmāda
har nafas zarf-āzmā 'kaifī'
har nazar ishti.āl-āmāda
aarzuen kamal-amada
zindagani zawal-amada
zindagi tishna-e-majal-e-jawab
lamha lamha sawal-amada
zaKHm kha kar biphar rahi hai ana
aajizi hai jalal-amada
kaise hamwar ho nibah ki rah
dil muKHalif KHayal aamada
phir koi nishtar-azma ho jae
zaKHm hain indimal-amada
har qadam phunk phunk kar rakhiye
rahguzar hai jidal-amada
har nafas zarf-azma 'kaifi'
har nazar ishtial-amada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.