Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzuen na-rasai ru-ba-ru main aur tu

Khatir Ghaznavi

aarzuen na-rasai ru-ba-ru main aur tu

Khatir Ghaznavi

MORE BYKhatir Ghaznavi

    ārzūeñ nā-rasā.ī rū-ba-rū maiñ aur

    kyā ajab qurbat thī vo bhī maiñ na maiñ aur

    jhuTpuTā ḳhūnī ufuq vus.ateñ ḳhāmoshiyāñ

    fāsle do peḌ tanhā hū-ba-hū maiñ aur

    ḳhushk āñkhoñ ke jazīroñ meñ bagūloñ ġhubār

    dhaḌkanoñ shor surma-dar-gulū maiñ aur

    bārish-e-sañg-e-malāmat aur ḳhilqat shahr

    pyaar ke māsūm jazboñ lahū maiñ aur

    ajnabī nazroñ ke shole har taraf phaile hue

    dushman-e-jāñ raah o manzil kāḳh-o-kū maiñ aur

    nafratoñ gard rasta kāTtī har moḌ par

    ishq ḳhushbū meñ uḌte kū-ba-kū maiñ aur

    ehtirām-e-ādmī ehsās-e-ġham marg-e-anā

    aaj kis kis zaḳhm ko karte rafū maiñ aur

    aarzuen na-rasai ru-ba-ru main aur tu

    kya ajab qurbat thi wo bhi main na tu main aur tu

    jhuTpuTa KHuni ufuq ki wusaten KHamoshiyan

    fasle do peD tanha hu-ba-hu main aur tu

    KHushk aankhon ke jaziron mein bagulon ka ghubar

    dhaDkanon ka shor surma-dar-gulu main aur tu

    barish-e-sang-e-malamat aur KHilqat shahr ki

    pyar ke masum jazbon ka lahu main aur tu

    ajnabi nazron ke shole har taraf phaile hue

    dushman-e-jaan rah o manzil kaKH-o-ku main aur tu

    nafraton ki gard rasta kaTti har moD par

    ishq ki KHushbu mein uDte ku-ba-ku main aur tu

    ehtiram-e-admi ehsas-e-gham marg-e-ana

    aaj kis kis zaKHm ko karte rafu main aur tu

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aarzuen na-rasai ru-ba-ru main aur tu Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now