Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzuen sab KHak huin

Sajid Hameed

aarzuen sab KHak huin

Sajid Hameed

MORE BYSajid Hameed

    ārzūeñ sab ḳhaak huiiñ

    sāñseñ āḳhir chaak huiiñ

    manzar manzar ḳhushbūeñ

    pal meñ jal kar raakh huiiñ

    dekh ke murda lafzoñ ko

    socheñ bhī namnāk huiiñ

    pichhle pahar jo ubhrī thiiñ

    āvāzeñ ḳhāshāk huiiñ

    raushan haiñ sapnoñ ke alaav

    ab rāteñ bebāk huiiñ

    tere badan shabnam se

    nazreñ dhul kar paak huiiñ

    tanhā.ī kar yādeñ

    'sājid' haft-aflāk huiiñ

    aarzuen sab KHak huin

    sansen aaKHir chaak huin

    manzar manzar KHushbuen

    pal mein jal kar rakh huin

    dekh ke murda lafzon ko

    sochen bhi namnak huin

    pichhle pahar jo ubhri thin

    aawazen KHashak huin

    raushan hain sapnon ke alaw

    ab raaten bebak huin

    tere badan ki shabnam se

    nazren dhul kar pak huin

    tanhai pa kar yaaden

    'sajid' haft-aflak huin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now