aarzuen sabhi shabab ke sath
ārzūeñ sabhī shabāb ke saath
saarī raunaq dil-e-ḳharāb ke saath
kis ko hai taab husn-e-jānāñ kī
kaun chaltā hai āftāb ke saath
us ko ummīd-e-sīm-o-zar hai aur
maiñ faqat sheroñ kī kitāb ke saath
mujh se bichhḌo to sochnā ye bhī
ḳhaar bhī hote haiñ gulāb ke saath
ruuh ke saath ziist kā rishta
jaise tūfāñ rahe habāb ke saath
kuchh na pūchho shabāb kā aalam
muddatoñ ham chale sarāb ke saath
mujh ko dil se nahīñ gila koī
ḳhuub guzrī dil-e-ḳharāb ke saath
aarzuen sabhi shabab ke sath
sari raunaq dil-e-KHarab ke sath
kis ko hai tab husn-e-jaanan ki
kaun chalta hai aaftab ke sath
us ko ummid-e-sim-o-zar hai aur
main faqat sheron ki kitab ke sath
mujh se bichhDo to sochna ye bhi
KHar bhi hote hain gulab ke sath
ruh ke sath zist ka rishta
jaise tufan rahe habab ke sath
kuchh na puchho shabab ka aalam
muddaton hum chale sarab ke sath
mujh ko dil se nahin gila koi
KHub guzri dil-e-KHarab ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.