aarzuon ne uchhal-kud machai hui hai
ārzūoñ ne uchhal-kūd machā.ī huī hai
jab se tujh tak mirī chāhat kī rasā.ī huī hai
mujh se isrār hai dil kā ki banūñ sahrā.ī
ḳhaak nādān ne siine meñ uḌaa.ī huī hai
duur se tāpne vaale bhī jhulas sakte haiñ
terī ra.anā.ī ne vo aag lagā.ī huī hai
rah ke siine meñ mire terā taraf-dār hai dil
saarī paTTī tirī āñkhoñ kī paḌhā.ī huī hai
ḳhush-numā manzaro itrāo na itnā ḳhud par
yaar ne zulf-e-hasīñ ruḳh pe girā.ī huī hai
ahl-e-taḳh.īl tasavvur meñ jise chhū na sakeñ
maiñ ne vo shakl nigāhoñ meñ basā.ī huī hai
aarzuon ne uchhal-kud machai hui hai
jab se tujh tak meri chahat ki rasai hui hai
mujh se israr hai dil ka ki banun sahrai
KHak nadan ne sine mein uDai hui hai
dur se tapne wale bhi jhulas sakte hain
teri ranai ne wo aag lagai hui hai
rah ke sine mein mere tera taraf-dar hai dil
sari paTTi teri aankhon ki paDhai hui hai
KHush-numa manzaro itrao na itna KHud par
yar ne zulf-e-hasin ruKH pe girai hui hai
ahl-e-taKHil tasawwur mein jise chhu na saken
main ne wo shakl nigahon mein basai hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.