Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aas bhi TuTi nahin hai waswasa bhi kam nahin

Shakeel Ibn-e-Sharaf

aas bhi TuTi nahin hai waswasa bhi kam nahin

Shakeel Ibn-e-Sharaf

MORE BYShakeel Ibn-e-Sharaf

    aas bhī TuuTī nahīñ hai vasvasa bhī kam nahīñ

    haañ magar ab iztirāb-e-dil vo 'ālam nahīñ

    dene vaale shukriya vaise to ye bhī kam nahīñ

    maiñ ne māñgā thā samundar qatra-e-shabnam nahīñ

    jitnī miltī hai suhūlat utnī baḌhtī hai talab

    mutma.in ho jaa.e hargiz fitrat-e-ādam nahīñ

    kaise lauTeñge bhalā ham apnī maazī taraf

    dil meñ ab jazba nahīñ hai haath meñ parcham nahīñ

    lāzim-o-malzūm haiñ ek dūsre ke vāste

    ham nahīñ to tum nahīñ jo tum nahīñ to ham nahīñ

    dhīre dhīre zaḳhm bharte jā.eñge hālāt ke

    vaqt se behtar 'azīzo koī bhī marham nahīñ

    'umr bhar ronā paḌegā dil lagāoge agar

    'ishq aisā zaḳhm hai jis koī marham nahīñ

    tum ne koshish nahīñ ābyārī ke liye

    ye shikāyat mat karo miTTī hamārī nam nahīñ

    tum namak-pāshī karoge to maza aa jā.egā

    zaḳhm vo rakhtā huuñ jo minnat-kash-e-marham nahīñ

    muddatoñ royā kareñge yaad kar kar ke 'shakīl'

    bhuul jā.eñge hameñ ahbāb aise ham nahīñ

    aas bhi TuTi nahin hai waswasa bhi kam nahin

    han magar ab iztirab-e-dil ka wo 'alam nahin

    dene wale shukriya waise to ye bhi kam nahin

    main ne manga tha samundar qatra-e-shabnam nahin

    jitni milti hai suhulat utni baDhti hai talab

    mutmain ho jae hargiz fitrat-e-adam nahin

    kaise lauTenge bhala hum apni mazi ki taraf

    dil mein ab jazba nahin hai hath mein parcham nahin

    lazim-o-malzum hain ek dusre ke waste

    hum nahin to tum nahin jo tum nahin to hum nahin

    dhire dhire zaKHm bharte jaenge haalat ke

    waqt se behtar 'azizo koi bhi marham nahin

    'umr bhar rona paDega dil lagaoge agar

    'ishq aisa zaKHm hai jis ka koi marham nahin

    tum ne koshish hi nahin ki aabyari ke liye

    ye shikayat mat karo miTTi hamari nam nahin

    tum namak-pashi karoge to maza aa jaega

    zaKHm wo rakhta hun jo minnat-kash-e-marham nahin

    muddaton roya karenge yaad kar kar ke 'shakil'

    bhul jaenge hamein ahbab aise hum nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now