aas hogi na aasra hoga
aas hogī na aasrā hogā
aane vaale dinoñ meñ kyā hogā
maiñ tujhe bhuul jā.ūñgā ik din
vaqt sab kuchh badal chukā hogā
naam ham ne likhā thā āñkhoñ meñ
āñsuoñ ne miTā diyā hogā
kitnā dushvār thā safar us kā
vo sar-e-shām so gayā hogā
pat-jhaḌoñ kī kahāniyāñ paḌhnā
saarā manzar kitāb sā hogā
āsmāñ bhar gayā parindoñ se
peḌ koī harā girā hogā
aas hogi na aasra hoga
aane wale dinon mein kya hoga
main tujhe bhul jaunga ek din
waqt sab kuchh badal chuka hoga
nam hum ne likha tha aankhon mein
aansuon ne miTa diya hoga
kitna dushwar tha safar us ka
wo sar-e-sham so gaya hoga
pat-jhaDon ki kahaniyan paDhna
sara manzar kitab sa hoga
aasman bhar gaya parindon se
peD koi hara gira hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.