Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aas hogi na aasra hoga

Bashir Badr

aas hogi na aasra hoga

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    aas hogī na aasrā hogā

    aane vaale dinoñ meñ kyā hogā

    maiñ tujhe bhuul jā.ūñgā ik din

    vaqt sab kuchh badal chukā hogā

    naam ham ne likhā thā āñkhoñ meñ

    āñsuoñ ne miTā diyā hogā

    dam ghuTā rahā hai siine meñ

    koī bujhtā huā diyā hogā

    āsmāñ bhar gayā parindoñ se

    peḌ koī harā girā hogā

    pat-jhaḌoñ kahāniyāñ paḌhnā

    saarā manzar kitāb hogā

    kitnā dushvār thā safar us

    vo sar-e-shām so gayā hogā

    aas hogi na aasra hoga

    aane wale dinon mein kya hoga

    main tujhe bhul jaunga ek din

    waqt sab kuchh badal chuka hoga

    nam hum ne likha tha aankhon mein

    aansuon ne miTa diya hoga

    dam ghuTa ja raha hai sine mein

    koi bujhta hua diya hoga

    aasman bhar gaya parindon se

    peD koi hara gira hoga

    pat-jhaDon ki kahaniyan paDhna

    sara manzar kitab sa hoga

    kitna dushwar tha safar us ka

    wo sar-e-sham so gaya hoga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now