aas jis ki jawan hoti hai
aas jis kī javān hotī hai
us kī ūñchī uḌaan hotī hai
jo qalam ābid-e-adab Thahrā
us kī hī ān-bān hotī hai
tiir lagtā hai dil ke Thiik uupar
jab nazar meñ kamān hotī hai
rañg taqdīr kā badal jaa.e
jab vafā mehrbān hotī hai
yaad aatī hai jis ghaḌī us kī
vo ghaḌī imtihān hotī hai
bin kahe bin sune ye dil samjhe
baat jo darmiyān hotī hai
bad-nasībī sukūn se so.e
jab savere azaan hotī hai
hai buland us kā parcham-e-qismat
jis pe tū mehrbān hotī hai
vo hī chhūte haiñ āsmāñ 'panchhī'
jin paroñ meñ bhī jaan hotī hai
aas jis ki jawan hoti hai
us ki unchi uDan hoti hai
jo qalam aabid-e-adab Thahra
us ki hi aan-ban hoti hai
tir lagta hai dil ke Thik upar
jab nazar mein kaman hoti hai
rang taqdir ka badal jae
jab wafa mehrban hoti hai
yaad aati hai jis ghaDi us ki
wo ghaDi imtihan hoti hai
bin kahe bin sune ye dil samjhe
baat jo darmiyan hoti hai
bad-nasibi sukun se soe
jab sawere azan hoti hai
hai buland us ka parcham-e-qismat
jis pe tu mehrban hoti hai
wo hi chhute hain aasman 'panchhi'
jin paron mein bhi jaan hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.