aas kā āsmān samjhā thā
kyoñ tumheñ mehrbān samjhā thā
dushman-e-qalb thā vo ġhārat-gar
maiñ mohabbat kī jaan samjhā thā
terī añgḌā.iyoñ ke bāloñ ko
maiñ dhanak kī kamān samjhā thā
vo mirī shā.erī ko jaane kyoñ
pattharoñ kī zabān samjhā thā
'rāj' maiñ to har ik shivāle ko
us badan kī uThān samjhā thā
aas ka aasman samjha tha
kyon tumhein mehrban samjha tha
dushman-e-qalb tha wo ghaarat-gar
main mohabbat ki jaan samjha tha
teri angDaiyon ke baalon ko
main dhanak ki kaman samjha tha
wo meri shaeri ko jaane kyon
pattharon ki zaban samjha tha
'raj' main to har ek shiwale ko
us badan ki uThan samjha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.