aas ke dip ba-juz tere bujha baiThe hain
aas ke diip ba-juz tere bujhā baiThe haiñ
dar pe tere jo liye harf-e-duā baiThe haiñ
dil to pahle hī gayā thā tirī āvāz ke saath
tujh ko dekhā hai to āñkheñ bhī gañvā baiThe haiñ
tujh se ma.ānī kā taqāzā bhī nahīñ kar sakte
dil kī shāḳhoñ se bhī alfāz uḌā baiThe haiñ
saath chalne se gurezāñ haiñ isī vāste ham
dhoka pahle bhī kisī shaḳhs se khā baiThe haiñ
ab to chahkeñge ḳhamoshī meñ bhī lafzoñ ke parind
tere hoñToñ kī muñDeroñ pe jo aa baiThe haiñ
tum ko aanā jo nahīñ thā to batā hī dete
ham yūñhī ghar ke dar-o-bām sajā baiThe haiñ
ham bhī kyā log haiñ taz.īn-e-chaman kī ḳhātir
bel ākās kī peḌoñ pe chaḌhā baiThe haiñ
ham sulagte haiñ kisī aur chitā meñ 'ahsan'
apne dāman meñ koī aag chhupā baiThe haiñ
aas ke dip ba-juz tere bujha baiThe hain
dar pe tere jo liye harf-e-dua baiThe hain
dil to pahle hi gaya tha teri aawaz ke sath
tujh ko dekha hai to aankhen bhi ganwa baiThe hain
tujh se maani ka taqaza bhi nahin kar sakte
dil ki shaKHon se bhi alfaz uDa baiThe hain
sath chalne se gurezan hain isi waste hum
dhoka pahle bhi kisi shaKHs se kha baiThe hain
ab to chahkenge KHamoshi mein bhi lafzon ke parind
tere honTon ki munDeron pe jo aa baiThe hain
tum ko aana jo nahin tha to bata hi dete
hum yunhi ghar ke dar-o-baam saja baiThe hain
hum bhi kya log hain tazin-e-chaman ki KHatir
bel aakas ki peDon pe chaDha baiThe hain
hum sulagte hain kisi aur chita mein 'ahsan'
apne daman mein koi aag chhupa baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.