aas ke pur-kaif mausam ka asar kaisa laga
aas ke pur-kaif mausam kā asar kaisā lagā
is bahār-e-nau-shagufta kā samar kaisā lagā
maiñ na kahtī thī udāsī ke sivā kuchh bhī nahīñ
aap ne dekhā mirā vīrān ghar kaisā lagā
maiñ ne ik but ko tarāshā hai zamāne ke liye
ai hunar-mando mirā kār-e-hunar kaisā lagā
zulmatoñ ke saath to tum ne nibhāyā umr bhar
shab gazīda logo andāz-e-sahar kaisā lagā
kaisā manzar hai ki hai gul-posh duniyā kā daroġh
zindagī kā sach maqām-e-dār par kaisā lagā
ye batāo lauT kar aa hī ga.e ho tum agar
ziist ke be-nām shahroñ kā safar kaisā lagā
maiñ ne darvāza tirī ḳhātir kiyā thā vā 'bahār'
tū batā de tujh ko ulfat kā nagar kaisā lagā
aas ke pur-kaif mausam ka asar kaisa laga
is bahaar-e-nau-shagufta ka samar kaisa laga
main na kahti thi udasi ke siwa kuchh bhi nahin
aap ne dekha mera viran ghar kaisa laga
main ne ek but ko tarasha hai zamane ke liye
ai hunar-mando mera kar-e-hunar kaisa laga
zulmaton ke sath to tum ne nibhaya umr bhar
shab gazida logo andaz-e-sahar kaisa laga
kaisa manzar hai ki hai gul-posh duniya ka darogh
zindagi ka sach maqam-e-dar par kaisa laga
ye batao lauT kar aa hi gae ho tum agar
zist ke be-nam shahron ka safar kaisa laga
main ne darwaza teri KHatir kiya tha wa 'bahaar'
tu bata de tujh ko ulfat ka nagar kaisa laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.