aas shamen jalati rahi raat bhar
Interesting Fact
نذر مخدوم محی الدین
aas sham.eñ jalātī rahī raat bhar
tīrgī muñh chiḌātī rahī raat bhar
yaad un kī dilātī rahī raat bhar
raat mujh ko satātī rahī raat bhar
un kī ḳhushbū se āñgan mahaktā rahā
chāñdnī muskurātī rahī raat bhar
aap kī raah meñ raushnī ke liye
aarzū jagmagātī rahī raat bhar
gul ke lab par hañsī dekhne ke liye
shabnam aañsū bahātī rahī raat bhar
ik sanobar tale ThanDī ThanDī havā
ik kahānī sunātī rahī raat bhar
chashm-e-sāqī meñ 'rāhī' vo kyā baat thī
aañkh se niiñd uḌātī rahī raat bhar
aas shamen jalati rahi raat bhar
tirgi munh chiDati rahi raat bhar
yaad un ki dilati rahi raat bhar
raat mujh ko satati rahi raat bhar
un ki KHushbu se aangan mahakta raha
chandni muskuraati rahi raat bhar
aap ki rah mein raushni ke liye
aarzu jagmagati rahi raat bhar
gul ke lab par hansi dekhne ke liye
shabnam aansu bahati rahi raat bhar
ek sanobar tale ThanDi ThanDi hawa
ek kahani sunati rahi raat bhar
chashm-e-saqi mein 'rahi' wo kya baat thi
aankh se nind uDati rahi raat bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.