aasan-e-haqiqi hai na kuchh sahl-e-majazi
āsān-e-haqīqī hai na kuchh sahl-e-majāzī
ma.alūm huī rāh-e-mohabbat kī darāzī
kuchh lutf o nazar lāzim o malzūm nahīñ haiñ
ik ye bhī tamannā kī na ho sho.abada baazī
dil ḳhuub samajhtā hai tire harf-e-karam ko
har-chand vo urdu hai na turkī hai na taazī
qaa.im hai na vo husn-e-ruḳh-e-yār kā aalam
baaqī hai na vo shauq kī hañgāma-navāzī
ai ishq tirī fat.h bahar-hāl hai sābit
mar kar bhī shahīdān-e-mohabbat hue ġhāzī
kar jald hameñ ḳhatm kahīñ ai ġham-e-jānāñ
kaam aa.egī kis roz tirī sīna-gudāzī
ma.alūm hai duniyā ko ye 'hasrat' kī haqīqat
ḳhalvat meñ vo mai-ḳhvār hai jalvat meñ namāzī
aasan-e-haqiqi hai na kuchh sahl-e-majazi
malum hui rah-e-mohabbat ki daraazi
kuchh lutf o nazar lazim o malzum nahin hain
ek ye bhi tamanna ki na ho shoabada bazi
dil KHub samajhta hai tere harf-e-karam ko
har-chand wo urdu hai na turki hai na tazi
qaim hai na wo husn-e-ruKH-e-yar ka aalam
baqi hai na wo shauq ki hangama-nawazi
ai ishq teri fath bahar-haal hai sabit
mar kar bhi shahidan-e-mohabbat hue ghazi
kar jald hamein KHatm kahin ai gham-e-jaanan
kaam aaegi kis roz teri sina-gudazi
malum hai duniya ko ye 'hasrat' ki haqiqat
KHalwat mein wo mai-KHwar hai jalwat mein namazi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.