aasan hai kisi nahr ka patthar se nikalna
aasan hai kisi nahr ka patthar se nikalna
Uma Shankar Shadan Gwaliori
MORE BYUma Shankar Shadan Gwaliori
āsāñ hai kisī nahr kā patthar se nikalnā
āsāñ nahīñ un kā dil-e-muztar se nikalnā
dariyā mirī fitrat hai samundar hai mirī zaat
dekhe koī dariyā kā samundar se nikalnā
har chand ki hai shīsha-o-sāġhar meñ bahut kuchh
achchhā hai magar shīsha-o-sāġhar se nikalnā
zulmat hai tirā niiñd kī āġhosh meñ jaanā
ik nūr-e-sahar hai tirā bistar se nikalnā
aaseb se aaseb haiñ duniyā kī nazar meñ
hamrāh mujhe le ke hī tum ghar se nikalnā
ātish se to ātish ko bujhāyā nahīñ jaatā
mumkin hī nahīñ amn kā ḳhanjar se nikalnā
auroñ kī tamanna mirī fitrat nahīñ 'shādāñ'
ruknā hai na ghabrā ke barābar se nikalnā
aasan hai kisi nahr ka patthar se nikalna
aasan nahin un ka dil-e-muztar se nikalna
dariya meri fitrat hai samundar hai meri zat
dekhe koi dariya ka samundar se nikalna
har chand ki hai shisha-o-saghar mein bahut kuchh
achchha hai magar shisha-o-saghar se nikalna
zulmat hai tera nind ki aaghosh mein jaana
ek nur-e-sahar hai tera bistar se nikalna
aaseb se aaseb hain duniya ki nazar mein
hamrah mujhe le ke hi tum ghar se nikalna
aatish se to aatish ko bujhaya nahin jata
mumkin hi nahin amn ka KHanjar se nikalna
auron ki tamanna meri fitrat nahin 'shadan'
rukna hai na ghabra ke barabar se nikalna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.