aasan har ek ho gai mushkil mere liye
āsāñ har ek ho ga.ī mushkil mire liye
jis din se mohtaram huā qātil mire liye
maiñ vahshatoñ meñ dasht-o-bayābāñ kī ho ga.ī
muddat se multamis hai mirā dil mire liye
yuuñ rāstoñ se in dinoñ dilchaspiyāñ baḌhīñ
qadmoñ kī ḳhaak ho ga.ī manzil mire liye
āsāniyāñ nazar ko bachā kar chalī ga.iiñ
Thahre rahe tamām masā.il mire liye
āvāz mere haq meñ ye kis ne uThā.ī hai
is bhiiḌ meñ ye kaun hai aadil mire liye
ye aur baat hai ki tujhe kuchh ḳhabar nahīñ
'mīnā' tirā ḳhayāl hai kāmil mire liye
aasan har ek ho gai mushkil mere liye
jis din se mohtaram hua qatil mere liye
main wahshaton mein dasht-o-bayaban ki ho gai
muddat se multamis hai mera dil mere liye
yun raston se in dinon dilchaspiyan baDhin
qadmon ki KHak ho gai manzil mere liye
aasaniyan nazar ko bacha kar chali gain
Thahre rahe tamam masail mere liye
aawaz mere haq mein ye kis ne uThai hai
is bhiD mein ye kaun hai aadil mere liye
ye aur baat hai ki tujhe kuchh KHabar nahin
'mina' tera KHayal hai kaamil mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.