aasan har ek baat ko dushwar karo tum
āsān har ik baat ko dushvār karo tum
iqrār jahāñ maiñ karūñ inkār karo tum
jab beach bhañvar ziist kī kashtī kabhī Duube
mallāh bano aur mujhe patvār karo tum
dāman pe mohabbat kā koī daaġh lagā kar
phir pesh-e-zamāna mujhe lāchār karo tum
zanjīr-e-mohabbat yūñhī pairoñ meñ sajā kar
vahshat kā tamāshā mirī har baar karo tum
har baat pe Thahrā ke mujhe morid-e-ilzām
īsār-o-vafā ko mire be-kār karo tum
ye zo.am-e-ḳhudī hai ki tamāshā-e-ḳhudī hai
sar bech ke nāmūs ko dastār karo tum
aasan har ek baat ko dushwar karo tum
iqrar jahan main karun inkar karo tum
jab beach bhanwar zist ki kashti kabhi Dube
mallah bano aur mujhe patwar karo tum
daman pe mohabbat ka koi dagh laga kar
phir pesh-e-zamana mujhe lachaar karo tum
zanjir-e-mohabbat yunhi pairon mein saja kar
wahshat ka tamasha meri har bar karo tum
har baat pe Thahra ke mujhe morid-e-ilzam
isar-o-wafa ko mere be-kar karo tum
ye zoam-e-KHudi hai ki tamasha-e-KHudi hai
sar bech ke namus ko dastar karo tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.